BIVI KA SHOHAR KO NAAM SE BULANA !!??

Sawal : Assalamualikum, Mufti Saheb,
Bivi apne Shohar ko Naam se Bulasakti hai? Ya Nahi ?
(Mohammed Fayaz),
Jawab : Walikumassalam wa rahmatullah,
Islam Mohabbat wa Husn e Akhlaaq wa Adaab ki taleem dene wala mazhab hai,
Jis me Har ek ko ek makhsoos rutbah(status) diya gaya hai,awr uski Ek Khaas Ahmiyyat hai,lehaza jaha tak ..
BIvi ka Apne Shohar ko Naam se pukarna hai,ye Sahi Nahi hai,kyu ke Ahadees me Jab Sahaabiyaat (raziyallahuamhunna) ne apne shohar ke Naam se nahi pukare awr bulaye,balke unke Ladko ki taraf nisbat karke hi bulaye hai…
Khalid ladke ka naam ho,shohar ko bulana ho to kahti ke..
ABU KHALID…(khalid ke Abbu),
Is me Adab bhi hota awr Mohabbat bhi..
Lekin Aajkal ke Mahol me..SHOHAR KO NAAM SE BULANE ME MOHABBAT KAHTE HAI…
Afsos ye Sahi Nahi hai,Ye to T.V. etc..ka kamal hai.
Allah Sabko Mahfooz farmaye..Ameen.

You might also like