DAHUM KA KHANE KA KOUN MUSTAHAQ ?

Sawal Asslam alaikum hazrat wala ,
dar asal daryaft talab baat ye hai dahum ka khana sadqa hota hai jo mustahqeen ka haq to imam masjid bhi gair mustahaq hote hain to kaise kha sakte hain jawab inayt farmaye ( sari ummat ki taraf se hain is ko dalail ke sath facebook per shaye farmayen jis tarha ka shaye karte hain ?
(zia raza ),
Jawab : Walikumassalam wa rahmatullah,,Dahum (yani mayyit ke marne ke baad ke 10 din baad dawat ka ehtemaam karna) ki Dawat bataur e eesale sawab hi hoti hai,jis ke ziydah Haqdaar wa mustahaq Ghuraba,Masakeen zaroorat mand log hote hai,haan agar ghar wale us dawat me apne rishte daar wa azeezo ko bhi dawat de to uski ijazat hai,usme ab mustahaq ya ghair mustahaq ka etebaar nahi rahta hai,

kyu ke eesale sawab ka maqsad neki ko marhoom tak pahonchana hota hai,to apne rishte daaro ko dawat dena bhi to neki ka hi kaam hai,lehaza dawat me ghuraba wa masaakeen ke saath rishtedaar wa azeez log jin me imam e masjib bhi shareek hoto uski puri ijazat hadees e paak se hame milti hai,
( zujajat ul Masaabeeh,vol/4,pg/6),
plz,,read and share it.

You might also like