DARSE SAHI MUSLIM SAHREEF ,7th Day : (chapter : Taharat),

Hazrat Abu Malik (rz) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram (sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Paaki Aadha eeman hai,ALHAMDULILLAH ka wird qiyamat ke din Tarazu ko (Nekiyo ) se bhar deta hai,”SUBHANALLAH WAL HAMDULILLAH” zameen va Aasman ke darmiyan jitni cheezen hai,unke barabar (nek aamal) se bhar deta hai,Namaz Noor hai,SADAQAH Daleel hai,Quran Hujjath hai, SABR raushni hai,tumhare liye awr tumhare khilaf,her shaks subah karta hai,to apne Nafs ko bhi Qaboo me rakho.

Dars : to dosto ,Subhanall awr Alhamdulillah ke ye jumle zaher me chote hai,magar unka sawab zameen wa aasman se bhi ziyadah hai,lehaz kasrat se inka wird karna chahiye,
Namaz Namazi keliye dunya wa aakhirat me qabr wa hashar dono me noor hai,
sadqah uske ghar wa qabr me barkat ki daleel hai,
Quran padhne wale keliye madad me hujjat hai,chodne wale keliye uske khilaf me hujjat hai,
sabr her kaam ki kamiyabi keliye raushni hai,
nafs per qaboo rakhne wala hi,haqeeqi “MUJAHID” hai

You might also like