DARSE SAHI MUSLIM SHAREEF , 15th DAY,Chapter : TAHARAT,

 

Hazrat Anas(rz) se rivayat hai,ke ,ek Gavun (deehati) wala shaks masjid me peshab karne laga,to baz log uski taraf dawdne lage ,to Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : “usko chod do us se jhagda mat karo”jab wo shaks peshab karne se farigh hogaya to aapne ek paani ka dol mangvaya awr us peshab par daldiya .

Dars : is hadees e paak me kayee taleemat humko milti hai,jin me ye ke ,
+ peshab ko paani se dhone se kapda ya badan ya jaha peshab laga ho wo paak hojata hai,
+ Husn e Akhlaaq ki taleem
+ Doosro ko maaf karne ki taleem,
khusoosi taleem ye ke ummat e mohammdiyah har chote moamle ya choti choti bato se bhadak ne ke bajaye Hikmat se kaam kane ki taleem di jarahi hai,
Hadees ki kitabo ki shuroohat me aaya hai ke is gavun wale per Nabi e Akram ( sallallahualihiwasallam) ke akhlaaq ka aysa asar huva ke wo shaks “” MUSALMAN “” hogaya.
Allah hum sabko acche akhlaaq ata farmaye..

You might also like