DARSE SAHI MUSLIM SHAREEF ,16h DAY,Chapter : SALATH,

 

Hazrat Jabir bin Abdullah(rz) se rivayat hai,kaha,maine NABI E AKRAM(sallallahualhiwasallam) ko farmate huve suna hai ke : Yaqeenan Shaitan jab Azaan ki awaaz sunta hai,to dawd lagana shuru karta hai,yaha tak ke maqame “RAVHAA” me pahonch jata hai,ye maqam MADEENAH se chettees (36) meel faslah par hai.
Dars : Is hadees e paak me tamam momino ke liye ye dars hai ke azaan ki awaaz se shaitan khud bhaagta hai,to insaan ke dil me jo shaitan yani nafs hai,wo bhi apne shaitani sifaat se door hona chahiye awr azaan ki awaaz sunkar ALLAH ke darbar me ibadat keliye hazir hona chahiye,
is me maqam e RAWHAA ka zikr faqat samjhane keliye hai,take insaani zahen me baat faslah ke etebaar se samajh me aane paaye.
Allah hum sabko namazi banade..AMEEN,
Plz,,read and share it

You might also like