DARSE SAHI MUSLIM SHAREEF,21 DAY,Chapter : SALATH,

 

Hazrat Abu Hurairah(rz) se rivayat hai,kah,Ek din Rasool e Akram(sallallahualhiwasallam) ne Hamari Imamat farmayi (namaz padhayi) phir hamari Taraf aap ka rukhe Anwar kiye awr farmaye ” Aye Fulan shaks tu apni Namaz Khubsoorti se kyu ada nahi karta ?
Namazi is baat per kyu ghur nahi karta jabke wo Namaz padh raha hota hai,ke wo Allah keliye Namaz padh raha hai,bus ye Namazi to apne liye hi namaz padhta hai,
phir aap ne farmaya :

“” ALLAH ki Qasam ,YAQEENAN MY MERE PEECHE KE HALAAT KO AYSE HI DEKHTA HOON JAISA MY APNE SAAMNE KE HALAAT KO DEKHTA HOON “”

Dars : Is Hadees me Rasoolullah (sallallahualihiwasallam) tamam musalmano ko Namaz me Khusoo wa Khuzoo ki taleem de rahe hai,ke Hum Namaz ALLah KI Bandagi samajh kar kare ,riya kari wa shohrat keliye nahi,,
isiliye soofiya kiram ne kiya khoob kaha hai ke,,EK LAMHA BAGHIR DIKHAWE KI IBADAT 1000 SAAL DIKHAWE KI IBADAT SE AFZALA HAI “”
matlab Allah ke darbar me ikhlaas wa khushoo ki badi ahmiya t hai,iska matlab ye nahi hai ke aap ko jab namaz ki dawat deto aap khushoo na hone ka bahana bana kar namaz chodenge to “GUNAHGAAR ” honge..lehaza khushoo wa khuzoo NAMAZ padhte padhte ata hai,Na ke NAMAZ chodte chodte,,,

ALLAHU AKBER KABEERA..
Allah Hum sabko ne tavfeaq ata farmaye..Ameen..

awr is Hadees e paak se aapka ” ILM E GHAIB ‘ bhi sabit horah hai,

plz, read and share it

You might also like