DARSE SAHI MUSLIM SHAREEF,35,DAY,Chapter : MASAJID,

 

Hazrat Abu Hurairah(rz) se rivayat hai kaha,ke ,Nabi e Akram(sallallahualihiwasallam) ne NAMAZ ki Halat me Kamar par Haath (hands) rakh kara Namaz padhne se MANA farmaye hai,
Dars : Uski ek wajah ye hai,ke Kamar Par Haath ka rakhna ye “” TAKABBUR “” ki Alamat hai,awr Namaz to Aajizy wa inkisari ki taleem deti hai,lehaza dono me tazaad hone ki wajah se us se mana farmaya gaya hai,
awr doosri baat ye hai,ke kamar par Haath ka rakhna ye susti ki bhi Alamath Hai,awr Namaz to Momin ki ” MERAJ” hai,jab meraj ka mauqa ho awr Namazi ” SUSTI” me rahe ye Momin ki shayan e shaan baat nahi hai,isliye is se mana kiya gaya hai,
Akhir me Allah se dua hai,ke Hum sabko hamari Nazmazo me khushoo wa khuzoo ata fatmaye..Ameen,

plz,read and share it.

You might also like