DARSE SAHI MUSLIM SHAREEF,36 DAY,Chapter : MASAJID,
Hazrat Osman bin Affan(rz) se rivayat hai,kaha,maine ,RASOOL E AKRAM(sallallahualihiwasallam) ko farmate huve suna hai,ke aapne farmaya : JO Allah ki raza ki khatir Masjid Banata hai,to Allah us keliye “JANNAT” me GHAR (HOME) Banata hai,
Dars :ye Allah ka karam hai,ke Allah us bandeh keliye jannat me ghar bana raha hai,jo momineen ki ibadat keliye zameen par ” MASJID ” banata hai,
is se wazih hoga hai,ke Masjid ko ta’alluq ” jannat” se hai,yani jo bandah jitne masjid ki khidmat karega to wo bandah jannat ke utna hi qareeb hoga,,
awr ek ahem baat ye hai,ke jaha hum puri zimmah dari se masaajid banate hai,to hamara ye bhi fareezah hai,ke un masaajid ko ” NAMAZO SE ABAAD WA SHADAAB ” rakhe,
warna ,,
ALLAM IQBAL (rh) Ka sher sadiq ajayega ke,,
* masjid to banadi shab bhar me eeman ki harat walo ne *
* mann apna puran “paapi” hai,barso me NAMAZI ban na saka **
plz,,read and share it