DARSE SAHI MUSLIM SHAREEF,45, DAY,Chapter : MASAJID,NAMAZ,

 

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,Rasool e Akram (sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jahannam ne Allah ke darbar me ye sawal karne lagi ke aye Allah mera baaz hissah baaz ko khaya jaraha hai,lehaza aap mujhe 2 saans lene ki ijazat de to mujhko sukoon miljayega ?
To usko uski ijazat dijati hai,to wo 2 saans leti hai,to 1 saans Sarma ka mausam to doosri saan Garma ke mausam me !!!!

Dars : is ka matlab ye hai,ke 2 saans se murad saans ko jab wo andar dakhil karti hai,to sarma ka mausam hota hai,awr jab wo saans ko baher karti hai,to Garma(summer) ka mausam hota hai,
usme hikmat ye hai,
jab garma ke mausam ki garmi ka ye haal hai,to phir jahannam ki garmi wa shiddat ka kiya haal hoga,,!!!!
Allah hum sabko jahannam ke azab se mahfooz farma..ameen.

plz,read and share it.

You might also like