DARSE SAHI MUSLIM SHAREEF,62, DAY,Chapter : JUMA’H.

 

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,Nabi e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jab tum jumah ki Namaz padhlo to uske baad 4 rakat sunnaat padho.

Dars : ye jumah ki sunnato ki taraf ishara hai.is hadees e shareef me jumah ki namz ke baad 4 rakat ka zikr hai,awr ek doosri hadees me 4 ke saath 2 rakat sunnat ka bhi zikr hai.
(jamiut tirmizy,vol/1)
wazih rahe ke baaz log jumah ki sunnato ko bhi jamat se padhte hai,jo bilkul ghalat hai,awr wo sunnat ke khilaf hai,

plz,,read and share it.

You might also like