DARSE SAHI MUSLIM SHAREEF,64 , DAY,Chapter :JANAZAH,

 

Hazrat Khabbab (raziyallahuanhu) se rivayat hai,Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Ham Rasoolullah(sallallahualihiwasallam) ke saath Allah ke raaste me hijrat ke iradah se nikle,awr is Amal ka badlah to Allah hi ata karega,
inhi Mohajireen me se Hazrat Mus’ab bin Umair(raziayllahuanhu) bhi hai,jo jang e Ohad me shaheed huve to jab unhe kafn dene ka marhalah aya to ek choti chadar ke alawah koi cheez dastiyab nahi thi,to jaise hi hum unhe kafn dena shuru kiya to sar dhaanpte to pair khol jate !!!!!!!!!
awr jab pair dhaampte to sar khol jata !!!!!!!!!!
to rasoolullah ne kaha chadar ka hissa sar ki janib kardo,awr pairo per izkhar naami ghaans ko rakh do,

Dars : Allahu Akber Kabeera !!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
kiya qurbaniya thi hamare asalaaf ke jis ko hum shumaar bhi nahi karsakte hai,
is hadees e paak se ye maloom huva ke ,Zaroorat ke waqt agar kisi ke paas kafan bhi dastiyab na hoto unhe kisi ghaas etc,,,se bhi kafn diya jasakta hai,

Plz,,read and share it.

You might also like