DARSE SAHI MUSLIM SHAREEF,65, DAY,Chapter :JANAZAH,

 

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,Nabi e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Janazah ki tayari jaldi karo,kyu ke agar wo salamat rahe to behter hai,awr tum uske qareeb bhi jate ho,
awr agar wo (mayyit) salamat na rahe to wo bura hai,jis ko to tum apne kandho se jaldi hi utar doge,,

Dars : Yani mayyit ke kafan wa dafan ki jald se jald tayari karne ki koshish karni chahiey,,take mayyit ka badan sadne ya kharab hone na paye,,
baaz log be wajah kafan wa dafan me takheer karte,,hai,jaise kisi rishte daar ke intezar ,,etc,,jo sahi nahi hai,
Namaz e janazah me asal cheez mayyit ke Haq me ” MAGHFIRAT” ki dua hai,
jo ek musalman ka doosre musalman per hoq hota hai,

plz,,read and share it.

You might also like