DARSE SAHI MUSLIM SHAREEF,69 , DAY,Chapter :JANAZAH,

 

Hazrat Ibne Umer (raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha ,Nabi e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Mayyit per Navha(cheeq kar rona..etc..) karne us Mayyit ki Qabar me ” AZAB” diya jata hai.

Dars : yani jab kisi ke ghar me kisi ka inteqal hojaye to uske saamne cheeq cheeq kar is tarah ro rahe hai,ke usme shikwe awe Allah se shikayate bhi shamil horahi hai,ex,,Allah mere bete ko hi uthalena tha kiya,,mera baccha hi usko mila tha kiya,etc,,,,kahna jayiz nahi hai,
aysi baato awr kaamo se Qabar me Mayyit ko ” AZAB ” diya jata hai.
jis se hame bachna zaroori hai,
Haan..Dunya se apne Azeezo ke inteqal karne se jab be saqta AANSOO nikalte jo ke insani fitrat hai,awr wo ek insaan ki doosre insaan ke saath mohabbat wa shafaqqat hoti hai,jis ki wajah se aansoo nikal hi jate hai,to khamooshi se rona uski shareeat me ijazat hai,

plz,,read and must share it.

You might also like