DARSE SAHI MUSLIM SHAREEF,68, DAY,Chapter :JANAZAH,

 

Sayyidatuna Umme Salamah(raziyallahuanha) se rivayat hai,kaha,Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : jab kabhi kisi Musalman per koi Museebat aaye to wo us waqt ye padhe :
إنا لله وإنا إليه راجعون. اللهم ! أجرني في مصيبتي وأخلف لي خيرا منها
padhe to Allah usko us museebat pe sabr ka ajr bhi ata farmayega,
awr uske peeche hi doosri nayi khushi usko ata farmayega.

Dars : is me puri zindagi awr zindagi ke saaz wo saman ke bare me isharah wa taleem hai,ke sari zindagi Allah ki di huvi AMANAT hai,phir uski ko wo zindagi wapas lautana hai,to ab bandah ke haat me hai,ya to wo cheez ache andaaz me lautaye ya phir bure haal me usko lautaye,,,,,,
2,doosri is baat ki taraf bhi isharah hai,ke museebat me apne maumlah ke allah ki taraf pherdo to uska zamin khud ALLAH hoga ,jab Allah zamin hoto ghum ko door karke khushiya Hamare Daman me sama jayengi…..inshallah,,,,,,

Plz,,read and must share it,

You might also like