DARSE SAHI MUSLIM SHAREEF,9th day,Chapter : Taharat,

Hazrat Abu Hurairah (rz) se rivayat hai,Rasool e Akram (sallallahualihiwasallam) ne farmaya : 5 Namazen,jumah se jumah tak awr Ramazan se Ramazak tak ki ibadaten momin ke gunahon ka kaffarah hoti hai,jab tak kabeerah gunah us se sarzad na hojaye.

Dars : Ye ALLAH ka fazl wa karam hai ke apne Rasool ke sadqeh apne Bandon ko utni Nawazish ki ata hai ke, ek namaz se doosri namaz tak bandeh se agar sagheerah gunah hojaye to allah us ibadat ki barakath se uske gunah maaf kardete hain,isitarah ek jumah se doosre jumah tak awr ek ramazan se doosre ramazan tak,ALLAHU AKBER KABEEARA !!!
haan is dauran kabeerah gunah se bachna zaroori hai,warna ye nemat se mahroomi hogi,
Namaz se Bandeh ko deeni bhi faidah hai awr dunyavi bhi,jismani bhi awr roohani bhi,
qabar me bhi awr hashar me bhi,
ALLAH hum sabko NAMAZ ka paband banaye,,,ameen.

You might also like