DARSE SAHI MUSLIM SHAREEF ,10th Day,Chapter : Taharat)

Hazrat Abu Hurairah(rz) se rivayat hai,ke ;Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jab Muslaman Bandah wazoo karte waqt apna Charah(face) dhota hai,to wazoo ke paani(water) ke saath hi uske Aankh se hone wale saare gunah nikal jate hai,awr jab Haath(hand) dhota hai to wazoo ka paani jaise hi haatho se bahne lagta hai to uske haath ke saare gunah jiske zariye wo pakad kar kiya tha nikal jate hai,awr jab apne pair (legs) ko dhota hai to uske pair ke saare gunah jis ko chal kar kiya tha wazoo ke aakhiri khatrah ke saath hi nikal jate hai. (subhanallah).

Dars : SUBHANALLAH ,,,
wazoo ki kitni barakaten hain ke BADAN se saadir hone wale gunah ki bhi maafi wa bakhshish awr BADAN ke Aaza(Parts of Wazu)ki bhi safayi ,,DEEN ka bhi faidah awr DUNYA ka bhi,,,
jaisa ke hadees me aya hai ke “WAZU” *Namaz* ki KUNJI (key) hai, awr “NAMAZ” * Jannat ki KUNJI hai.
Allah hum sabko sahi wazoo banane ki taufeeq ata farmaye,,ameen.

You might also like