EK HI MAQAM SE PAISE KAM HOJANA..!!?

Sawal : Assalamualykum rehmatullahi wabarkatuhu
Mufti Sahab
Sawal ye hai ke kia paise (money ) ghr mai kahin rekh ne par kia paise kaam hote h mufti Sahab sawal thoda ajeeb hai par ase hua hai 2 families ke sath bare meherbani jawab innyat farmayaee koi kehrehe ke Jaha paise hota hai waha shaar o shaitin hote hai is par zaroor roshni Dale
Jazakallah khair
(Ahmed khan Naqshbandi),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah.
Agar Paise kisi Ek hi Maqam per rakhe to Un Paise me Kami hona islami Taleemat ke khilaf hai,aysa kuch bhi Hadeeso se Sabit Nahi hai,
Halal Maal Allah ki ek Nemat wo jaha bhi ho Barkat hi Barkat hoti hai,Shaitan wo Sharr to Halal Maal se Koso Door rahte hai,
Lehaza ye Paiso me kami ka Aana ya to 2 Haal se khali Nahi,
1) Un Paiso me koi Kuch Paise Nikal le
2) Paise rakhne wala Rakh kar usko sahi Tareeqeh se Count Na kare..
Iske Alawah aur kuch bhi Nahi hosakta hai,
Ab Raha Haram Maal usk bhi Kahi rakhne se Kam Nahi hojata hai.
(Tafseer e Roohul Maani,Vol/2)
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like