FARZ NAMAZ KE BAAD SUNNAT NAMAZ KI JAGAH

Sawal : Assalamualikum, mufti sahab ,

farz Namaz padkay muqtadi doosri jagah sunnat padtay hai.agar muqtadi usi jagah sunat paday jahan par us nay farz ada ki ho kya koi harj hai ?rahnumai farmiaye jazakallah,
(umaidur Rahman ),
Jawab : Walikumassalam wa rahmatullah,
Farz Namaz ke baad Sunnat Namaz agar Moqtadi Apni hi Jagah jaha wo farz padha tha padhna ziyadah ” BEHTER” hai,
kyu ke us se peeche awr baazu namaz padhne walo ko sahoolat hogi,
Haan agar aage aazu baazu jagah hoto Farz Namaz padhi huvi jagah se hat kar padh sakte hai,aur ye isliye hat te hain ke aane wale ko farz Namaz Ada karlene ki taraf isharah hai,

lekin apni hi jagah per sunnat padhne me koi HARAJ nahi hai.

You might also like