GHAIR MUSTAHAQ KO ZAKAT DENA KISA HAI

Sawal : asalm alaikum hazrat wala ek shaqs imamat ke mansab per faiz hai uske tanqa 5000 Rs hai makan kiraya ka hai aur sawari ke liye scooter hai is ke alawa us shaqs ke paas aur koi sarmaya nahi hai aisa ka zakat lena kaisa hai ?
(zia raza),
Jawab : Walikumassalam wa rahmatullah,,,Quran me zakat jinko dena hai,yanai masaarif e zakat bayan kiya gaya hai,awr usme ” FAQEER,MISKEEN ,etc,,,ka zikar aya hai,to faqeer wa miskeen us shaks ko kahte hai,jiske paas ek waqt ka khana na ho,baaz ulama ne kaha ke jis ke paas ek din ka khana na ho (tafseer e jalalain,vol/1,)
lehaz aap ne jis shaks ke bare ma kaha hai,wo shaks zakat ka mustahaq nahi hai,usnko chahiye ke zakat na le kyu ke jo bhi kisi ghair mustahaq ko zakat dega to uski zakat ada hi nahi hogi ,awr usko dobarah zakat dena wajib hai.
(Kitabul ASL,vol/1,),
plz,,read and share it.

You might also like