GHAIRO KI HOTEL YA APNO KI…TO ?

Sawal : Assalamualaikum mera sawal kiya ghair Muslim ki hotels yaa shop me jaa kar khana kyesa hai Aur aksar Muslim ki hotels shop me Hindu log pakaya karte hai Aur Hindu ki hotels yaa shop me Muslim log bi hote hai isme Baaz log bahut thalqit kar rahe hai Ke ghair ki hotels Ya shop me khana pina nhi chahiye ab Hindustan me hai to kyesa kare plz Iska Jawab innayat Kare to badi maherbani ?

(Syed Firasat Ali),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Musalman ki Hotel ki me jabke Janwar Halal kiya gaya ho aur Ghair muslim khana pakata ho to us hotel me Khana khane ki ijazat hai,kyu ke Ghair muslim ke Haatho me Najasat Nahi hoti hai,Balke Uske dil ke Aqeedeh me Najasat hoti hai,aur Hukm Zahir per lagaya jata hai,Batin per Hukm Nahi lagaya jasakta hai,
Aur Ghair Muslim ki Hotel me Agar musalman Janwar zubah karke khana Banate ho to ab ayse Ghair muslim ke hotel me bhi khana khane ki ijazat hai, kyu ke janwar aur khana dono Halal hain,isliye ijazat hai,agar aysa Na hoto phir uski ijazat Nahi hai.
(Al Hidayah,Vol/2).
PLZ..Share it to All,For more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like