GHAR KA NA PAAK HONA ?!

Sawal : Assalamualikum mufti sab. Kisi k ghar ek gair Muslim kaam karti hi. Vo gair Muslim k beti ko ek beti paida huyi. To kya ab vo gair Muslim jis ghar me kaam karti hi vo kaam ni karna bolre jisse ghar me chot aur ghar mila hota bolre. Kya ye sahi hi ?   (Ek islamibhai),
Jawab :Walikumassalam Wa rahmatullah,
Jab Kisi ke Ghar me yani kisi Aurat ko Bacha ya Bachi paida ho to Shareeat me 40 din tak Nifaas ke khoon ki muddat batayi gayi hai,to un 40 dino tak Namaz nahi padhna hai,kyu ke Wo Na paaki ki Halat me hai,to Napaaki us khoon ki wajah se hai,us se Saara ghar Na Paak Nahi hota hai,
Ab Rahi wo Ghair Muslim ke Paas to Ayse Koi Ahkamaat hi Nahi hai,lekin Deen e islam ke Ahkaam ke etebaar se Wo Ghair Muslim Aurat Agar Musalman ke Ghar me Kaam kare to Wo Ghar Na Paak(Maila)Nahi hota hai,Kyu ke iski Na Paak ya uske Beti ki Na Paaki ghar me Nahi lag rahi hai,
Yaad rahe ke Koi Cheez us waqt Na Paak hoti hai,Jab ke usko Koi Na Paak Cheez lage ya wo Khud Na paak ho ya hojaye,Yaha Aysa kuch Bhi Nahi hai.
(Al Hidayah,Vol/1,Al Binayah,Vol/1)
Note : Delivery ke Baad Ghar Ka Na paak hone ka Rivaj Baaz Musalmano ke Gharo me bhi hai,Jo Ke Sahi Nahi hai,Us se Ghar Na Paak Nahi hota hai.
Plz..share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like