DARSE JAMIUT TIRMIZI, CHAPTER : PEENE KE AHKAM, DAY : 371,
Hazrat Abu Qatadah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,Kaha,Rasool e Akram
(Sallallahualihiwasallam) ne farmaya :
Qaum ko Paani Pilane wale ko Chahiye ke Wo Khud Akhir me Paani(water) Piye.
(Vol/2,H,No :2015),
Dars : Jab koi Iradah karle ke itne..logo ko paani,Sharbat,Ya Doodh(Milk) etc…pilavunga to usko Chahiye ke Pahle Logo ko Paani etc…cheeze pilaye aur Khud sab se Aakhir me Pani piye,ye Adab e Ziyafat wa Amarat(zimmahdari) me se hai,
■■ Isi tarah Jab koi Apne Ghar Dawat ka ehtemam kare to unko bhi Chahiye ke Pahle Mahman ko khilaye ,Phir Baad me khud khaye,
Haan,Agar Ghar me Chote
Bache,Boodhe(Oldage persons) ,Koi Beemar ho to unka khayal Mahman se pahle karne ki Ijazat hai,
Haan,Mahman ko bhi Chahiye ke wo Waqt per Hazir hojaye ex..Dawat ka waqt tha..Baad Namaz e Zohar 2 Pm ab Mahman Hazir horahe hain 4 Pm to ye sahi Nahi hai,is se Khud ko aur Doosro ko Pareshan karna Lazim aata hai,jo ke Islam me Jayiz Nahi hai,Balke Ek Tarah ka Gunah bhi hai,
Jab Mahman itni Ziyadah Der kar rahe hain,to Ab Majbooran Bhook Be Qabu hojaye to Mahman se pahle Khane ki Ijazat di jati hai,ta ke Baad me Ikhtelaafat Na paida hojaye,
●● Aaj Kal ye Mahol hochuka hai,ke Mahmano ki takheer ke sabab Dulha ke Khane ka intezam pahle kiya jata hai,to iski ijazat hai,Kyu ke Aqd E Nikah me Dulha khud Mahman hi hota hai,wo Mezban Nahi hota,Kyu ke Khane ka Intezam to Ladki walo ki taraf se hi hota hai,
Allah hame waqt aur Halat ko samjh kar Amal k taufeeq ata kare..Ameen.
Plz..Share it to All,for more Visit our islamic web site..anwaarulislam,com.