GHAR KE AFRAAD KI JANIB SE QURBANI DENA KIYA WAJIB HAI ?!

Sawal : Assalamu alaikum mufti saheb
Mera sawal ye hai ke
Hamare ghar me total 12 afrad hai aur sirf main akela sahibe nisat hun meri haisiyat sirf ek gaye ke 7 hisson ki hai to baki afrad ka kya karien bachon ka maa baap ka bhaiyon ka aur unki ahliya ka zara tafsir se raah numai karien

Hissa kis kiska dena hoga ?
(ishaq mohammed ),
Jawab : Walikumassalam wa rahmatullah,,Aap per sirf aap ki hi qurbani dena wajib hai,doosro ki taraf se aap ko dena zaroori nahi hai,khud aapki bivi awr baccho ki qurbani bhi aap ko dena wajib nahi hai,kyu ke agar wo sahib e nisab ho to unko qurbani dena wajib haimwar an Nahi hai,haan agar aap unki taraf se de rahe hai,to hojati hai,dena wajib nahi hai,
(Ahle Khidmat e sharyiyyah,Pg/81),
aap ki batlayi huvi soorat me aap pahle walidain ,bivi baccho ko shamil karle ,phir agar kuch hisseh bach jaye to apne bahiyo ko shamil karle warna nahi ..
plz,,read and share it.

You might also like