GULF KI MASJIDO ME SA’DAAT KI IFTARI ?

Sawal :Assalamualikum,Mufti saheb,
Hum Syed hai,yaha Gulf me aksar Masjido aur Baaz maqamaat per Iftar ka ehtemam kiya jata hai,to kiya hum waha iftari karsakte hain ? Ya Nahi ?
(Syed Imram Ali)
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah.
Saudi Arabia me Ramazan ke Mubarak Mahineh(Month) me jo Masajid ya Khaimo me Iftar ka Intezam kiya jata hai,wo Aksar Zakat wa Sadaqaat ke Paiso se hi kiya jata hai,iske Baare me maine khud bhi Saudi Hazaraat (jo iftar ka intezam karte hai)se bhi Baat ki hai,to unhone is baat ki tasdeeq ki hai,ke ye Iftar ka intezam Zakaat wa Sadaaqt ke paiso se hi hota hai,aur 1 ya 2 Hazrat Atayah(Gift) ke taur per bhi iftar ki Baaz cheeze dete hai,to Jo Saadaat(Syeds) hai,wo Yaha per Iftari Na kare balke apna khud ka ehtemam kare,kyu ke Sa’adaat ko Zakaat aur Sadaqaat ka Maal ya Cheeze istemal karne ki ijazat Nahi hai,
(Al Hidayah,Vol/2),
Aur jaha Atayah(Gift) ke taur per ya Hukoomat ke zere nigrani jaise Haramain Shareefain me iftar ka intezam ho to waha Sadaat bhi iftari karsakte hai.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like