HALAT E HAIZ (monthly period) ME TILAWAT E QURAN KA HUKM
Sawal ;Asslamu Alekum mufti Sahab ,
ek Sawal kya Aurat Haij Halat me Hatho me Galaf Chadake Quraan Ki Tilawat Kar Sakti he pliz is baat PR Quraan Hadees Ki Rosni me Jawab dijiye ?
(ek islami bahen),
Jawab : Walikumassalam wa rahatullah, Halat e Haiz me Khawateen ko Quran ki Tilawat kisi bhi soorat me jayiz nahi hai,chahe ghilaf ke zariyeh ya uske alawah,,,jaisake hadees me aya hai,Hazrat ibn e omer(raziyallahuanhu) se rivayat hai,Nabi e Akram (sallallhaualihiwasallam) ne farmaya : ke Haiz wali awrat awr janabat wala insaan yani mard awr awrat dono keliye quran ki tilawat jayaiz nahi hai,
(jamiut tirmizy,vol/1,pg/34,,,Al Hidayah,vol/1,pg/62),
note : is sawal ka jawab isliye timeline pe dala ja raha hai,ke baaz bud aqeedah gumrah log isko jayiz qarar dete hai,jis hamare nawjawan nasl ko mahfooz rahne kiyelye,,
Plz,,read and share it,