IMAM KE SAATH SAJDAH SAHOO

Sawal : Assalamualikum,mufti sahab,

Agar imam ko isha k farz ki doosri rakat mai sajdah sahu chada(wajib huva), magar woh muqtadi ki pehli hi rakat hai«agarchi woh dair say aaya ho»to muqtadi ko imam k sath sajdah sahu karna ha ki nahi aur tareeqa b batayiye ga. ?

(umaidur rahman),
Jawab : Walikumassalam wa rahmatullah,
Aysi soorat me muqtadi ko imam ke saath hi “sajdah sahoo” iqteda ke etebaar karte huve karlena zaroori hai,
haan phir agar uski baqi ki namaz me kuch sahoo ya ghalati jo sajdah sahoo ko wajib karti hoto wo ” TANHA” hi sajdah sahoo karlena hai.
(AL HIDAYAH,VOL/1,PG/158),

You might also like