INTEQAL AUR HAIR CUT ?

Sawal :Assalamualikum,Mufti Saheb,

Hamare Chahcha ka Inteqal huva hai,to ab hamare Ghar me kah rahe hain,ke 40 din se pahle tak Hair Cutting karna Nahi hai ? To Mufti saheb ye kaha tak sahi hai ?
(Mohammed Ayyub),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Allah aapke Chacha ki Maghfirat farmaye aur Gharwalo ko Sabr e jameel ata kare…
To Jiske Ghar kisi Ka inteqal hojaye to us gharwale ya Rishtehdar 40 din se pahle Apni Hair Cutting karsakte hai,isme Kisi qisam ki Shareeat me Rukawat wa Mana Nahi hai,kyu ke is se Safayi aur Paakeezgi hasil hoti hai,jab ke islam hamesha Safayi ki taleem deta hai,aur Beshak islam pakeezah Mazhab hai,
(Mishkatul Masabeeh,Vol/1)
aur jo log aysa kahrahe hai,ke ” 40 din se pahle Hair Cut Nahi karna” to wo log Ghalat kah rahe hai,wo aysi baato se Baaz aajaye to behter hai.

Plz..Share it to All,for more Visit web site
anwaarulislam,com.

You might also like