JUMAH KE DIN GHAR PER KOUN SI NAMAZ ? *

Sawal :Assalamualaikum..
Mufti Sahab mera ek sawal hai, jaisa ke aap jantey hai saare hindustan balke sari duniya me corona virus pahela hua hai, aur isi k wajeh se masajid me namazon par pabandi lagyai gayi hai, aur Jummah ki namaz bhi ghar par ada karna hoga…
Mera sawal ye hai k hame ghar par Jummah k 2 rakat ada karna hai ya phir Namaze zuhr ?
Jawab de to badi maherbani hogi
(Ghulam Qadri),
Jawab:Walikumassalam wa rahmatullah
Mushkil wabayi Amraaz?Corona VIRUS, etc..) ki soorate Haal me jab ke Izn e Aam (Govt Not Allowed,etc..) bhi Na ho to Jumah ke Din Ghar per Jumah ki 2 Rakaat ke Bajaye Zohar ki 4 Rakaat Baghair Khutbeh ke ghar per Jamat ke saath bhi ada karsakte hai,
Aur Jame Masjid ya Jumah ki Namaz hone wali Masjido me 5ya 6 log,etc.. Namaze Jumah ada karle to Kaafi hai.
Yaad rahe imam sirf Mard ( male) hi ban sakta hai,Aurat(lady) nahi.
(Al hidayh,Vol/1),
Plz..Share it to All for more visit our islamic website
www.anwaarulislam,com

You might also like