KAAN,NAAK CHIDVAANE KI MANNAT

Sawal :Assalamualikum,Mufti Saheb,
Baaz Aurate(ladies) Kuch kaam jone per Apne Ladko ya Mardo ke Kaan(ear)aur Naak(Nose) ke chidvane ki Mannat Mangte hai,aur Baaz to Mard ke Sar per Choti Lagvane ki Mannat mangte hai ?
Iska kiya hukm hai ?
(Khir Jaan Qadri),
Jawab :Walikumassalam Wa Rahmatullah
Quran e paak me aya hai,ke
Jo tum Nazar Maante ho usko Allah jaanta hai…
(Al Quran,Surah :Baqarah,2,Ayt:270),
Islam me Nazar(Mannat) sirf Allah keliye Maanna hai,
jaise 10 razeh rakhne ki,ya 50 Rakaat Nafil padhne ki etc..
Lekin Ye Mardo ke Kaan,Naak,Sar me choti lagana.. !!!!!
Sab Islami Taleemat ke khilaaf hai,isko Baaz log “AHLE SUNNAT WAL JAMAT (Wo Jamat Jo Quran,Hadees,Sahaba Raziyallahuanhum ajmayeen ke bataye huve taleemaat per chaalti hai)”
ki Taraf Mansoob karte hai,
Ye Bilkul Ghalat hai,aur un per “TOHMAT ” lagana hai,
ye Rusoomat Ahle Sunnat wal Jamaat ki taleemat ke bhi khilaaf hai,in cheezo ko hame tark karna hai,aur Haqeeqi Islami Taeemaat per Amal karna hai..
Allah ham sabko Nek Taufeeq de..Ameen.

You might also like