KHUD HI RAQAM ZIYADAH DE TO…?!

 

Sawal :Asslamu alaikum mufti saheb,
Zaid rafeeq se 1 lakh rs badal mang raha hai
aur zaid khud hi keh raha hai ke main 1 ke badle 1.5 lakh rs wapas karunga.
Kya ye jayez hai.
(Mohammed Umer Naqshbandi),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah..
Agar zaid wo ziyadah raqam tohfah(gitf) ke taur per kah kar de raha hai,aur ye bhi kah raha ho ke us Qarz se uska ka Koi Ta’alluq Nahi hai,to wo raqam le sakte hain,kyu ke islam me Tofah lena aur dena dono jayiz hai,aur agar wo Raqam Sood ke taur per khud hi de raha hai,to Haram hai,kyu ke islam me Sood lena aur Dena dono Haram hai.
(Al Hidayah,Vol/4),
Note : Sahi Raastah aur Bura Raastah Dono Bandeh ke Saamne Zahir hai,kyu ke uske paas Aqal maujood hai,lehaza Aqal ko sahi istemal karke Haram se Bachna hi Kamal hai,

Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like