LADIES KI EID KI NAMAZ ?

Sawal :Assalamu alaikum mufti sahab . Mera e sawal hai . Auratein eid ki namaaz pad sakte hai ya nahi ?
(Ek islami bhai),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah
Eid ki Namaz jamat se hi padhi jati hai,kyu ke Jamat eid ki Namaz keliye Shart hai,Baghair Jamat ke eid ki Namaz hi Nahi hoti hai,lehaza
Khawateen ko Ibteda e islam me Eidgah jakar Namaz padhne ki ijazat di gayi thi,Baad ma jaise jaise islam pahelta gaya aur Islami taleem wa Ahkamaat ka sabko ilm hota gaya to Khud Rasool e Akram (sallallahualihiwasallam) ne khawateen ko Ghar ke Androoni kamreh me Hijab me Namaz padhne ko ziyadah Afzal bataya hai,aur unko eidgah me bhi Namaz padhne se Fitneh ke dar se Hazrat Umer farooq(raziyallahuanhu) ke daur me roka gaya,lehaza khawateen eidgah Na jaye Balke Apne Gharo me Shukraneh ki Namaz ada karle Jo Nafil namaz hoti hai,kyu ke Eid ki Namaz Jamat se saath hi hoti hai,insha Allah iska bhi Bohat bada ajr milta hai.
(Umdatul Qari,Vol/2,Al Hidayah,Vol/1),
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like