MAZARAAT E AWLIYA KE PAAS JHUKNE KA HUKM

Sawal : Assalamualikum ,mufti saheb,
Kiya kisi wali ki Baargah me jakar unke saamne bataur e tazeem jhukna jayiz hai,ya nahi ,kyu ke baaz log ye image fb pe daal kar usko “shirk” kahte hai,uska kiya hukm hai,?
(mohammed Bilal Ahmed junaidi),
Jawab : Walikumassalam wa rahmatullah,
Islam jaha Tavheed ki taleem deta hai,wahi islam buzrugo ki Azmat wa ikram ki bhi taleem deta hai,awr Bado ka adab karna ye to islami adab me se hai,kyu khud Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne yaha tak kaha hai,ke jo bado ki izzat nahi karta wo ham me se nahi hai,
(jamiut tirmizy,vol/2,pg/14),
awr jaha tak Buzrugo ki mazarat ki tazeem ki baat hai,to waha jo bhi motaqid wa aqeedat mand bataur e tazeem jhukta hai,to wo “SAJDAH” nahi kahlata hai,kyu ke islam me sirf zameen per ya kisi ke saamne sar ya peshani rakhne ka naan ” sajdah” NAHI HAI,
balke ” Jab bandah sajdah ka iradah kare to saamne wale ko apna “ALLAH” WA KHALIQ ” jaane tab hi sajdah hoga warna,,,,,,,,,,wo Sajdah nahi kahlata hai,awr is amal per doosro ko shirk ya mushrik ka fatwa lagana sahi nahi hai,
kyu ke kayee ahaadees e shareefah se ye sabit hai,ke SAHABA E KIRAM RASOOLULLAH (sallallahuallihiwasallam) ki paas hazir hokar aapke HAATH AWR PAIR CHOOMA KARTE THE ,
(Zujajatul Masabeeh,vol/4,pg/23),
note : jab sahaba adab ki khatir jhukte to wo bhi sajdah ki shakal nazar aati to sarka unko wahi per rokdiya karte,magar aysa nahi kiye to uski ka matlab ,azmat ki khatir kisi ke saamne jhukna ” SAJDAH” nahi kahlat hai,awr us se ” SHIRK” ka hukm bhi nikalna ” KHIYANAT” hai,
awr Tazeem ki khatir jhukna ye to Sahaba ki “SUNNAT” hai,
Note : jo bhi bandah kisi wali ki bargah me jata hai,to wo us wali ko ALLAH ,,,,,,,,,NAHI ,,,BALKE,,,,,,,ALLAH KA BANDAH AWR ALLAH KA WALI HI SAMAJH TA HAI,,,,,,,,,,,,,,,,,
Allah ko Allah awr Bandah yani Allah ke wali ko Allah ka Dost maanne ka naam hi ” TAWHEED” hai,nake Allah ko Mano awr Wali ko Bura kaho,,ye sahi nahi hao,

plz,,read and share it.

You might also like