NEEND YA BEDARI ME…. GHUSL KA HUKM ***

Sawal : Assalamualaikum hazrat mera sawal ye hai
Agar kisko din waqht ehtelaam hojaye to kiya ghusl wajib hai ??

Aur agar kisi ko hosh o hawas mien ye masla pesh aye k ek zarre qhatre ki manind ehtelaam hojaye to kiya wo nijasat wale hisse ko dhole ya ghusl kare baraye mehrbani jawab inyat karein shukriya ?
(mohammed Azam),
Jawab : Walikumassalam wa rahmatullah,,,

Ehtelam(Khab me shahwat wale moamlaat se mani ka nikaljana) din me ho ya raat me har soorat me ghusl wajib hota hai,
haan ,jab bedari ki halat me usne jo apne badan per dekha hai,agar wo Mani(semen) hai,to aysi soorat me wo kitni hi kyu na ho usper ghusl karna wajib hojata hai,
agar wo Mani na ho balke mazy ya wadi ho to aysi soorat me us per ghusl wajib nahi hota hai,
(Sharh ul Wiqayah,vol/1,pg/76)

You might also like