PAHLE ZINA PHIR NIKAH !!!!!!!!! ?

Sawal :Assalamualikum,Mufti saheb,
ek shaks ne pahle apni awr ladki ki razamandi se ” Zina ” karliye
phir baad me nikah karliye to kiya ab unka zina maaf hogaya :
(md shoeb),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Ye sunkar bada afsos huva hai,ke hamare Nawjawan “SUNNAT” ka kise mazaq banaye hai,
yaad rakhe,,,
“ZINA” haram hai,awr “NIKAH” **SUNNAT ** hai,
lehaza aap Nikah na kare to koi pooch nahi hoti,,magar Zina kiye to uski pooch awr saza zaroor milegi,,chahe wo Pahle zina kare phir nikah har soorat me Zina karne wale ko uski saza milegi,,
yaad rahe,,usne baad me nikah karke koi Ehsaan nahi kiya hai,balke sunnat ko mis use kiya hai,lehaza baaz awqaat majboori ki soorat me agar koi zina kare to uska us se nikah kara dete hai,to aysi soorat me bhi unko us gunah awr saza dono milege,,
ye ek shaitani sazish hai,is se her ek ko bachna hai,poori zindagi bher ..
Allah hamari saare musalman bhai awr bahno ko is sazish se mahfooz farmaye,,,Ameen,

You might also like