QURBANI KE GOSHT ME MAALDAAR AUR GHAREEBO KA HISSAH..?

Sawal :Assalamuallaikum,Mufti Saheb,
Sawal: Qurabni ka gosht jo hissa rishtedar dost aur ahbab ka hota hai us kya ghareebo mei takseem karsakte hain kyun ke Maa Sha Allah se sab ke pass qurbani ka nazm rahta hai aur baaz rishtedar bahut door rehte hai kya zaroori hai ke gosht poichaya jaie ya ghareeb mei baat sakte hain
(Ek islami bhai),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah
Qurabani ke Gosht ke 3 Hisseh Ek Rishtehdar,doosra Ghareeb aur Teesra Hissah khud keliye Rakhna “MUSTAHAB” hai,ye Taqseem karna Wajib Nahi hai,agar koi Saara Gosht Ghareebo me de ya saara Gosht khud bhi rakh le to uski ijazat hai,lehaza Agar jo Rishtehdaar Maal dar ho ya Baaz Rishtehdaar Door ho to unka Hissah Ghareebo me taqseem kare to Bohat Behter hai,kyu ke Zaroorat se Ziyadah Gosht Ameer se Ziyadah Ghareeb ko mustahaq hova karta hai,aur us se Ghareebo me Himmat aur Musalmano se Apne Pan ka Ehsaas Mazeed badhta hai,aur Ghareeb Bache bhi kam se kam Kuch Waqt Gosht bhi kha sakte hai.
(Durre Mohtar,Vol/3),
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com

You might also like