QURBANI KE JAANWAR KI RAQAM KA SADQAH ?

Sawal : Assalamualikum,Mufti saheb,
kiya agar koi qurbani ke jaanwar ki raqam ex..6000 hai,wo kisi ghareeb ya madarsah me qurbani karne ke bajaye uski raqam sadqah karde to kiya qurbani hogi ya qurbani ka sawab milega ?
(md ameer),
Jawab : Walikumassalam wa rahmatullah,,,
ye baat wazeh rahe ke 10..zilhajjah se 12 zilhajjah ke sooraj doobne se pahle tak janwar ko Allah ke raasteh me zubah karne ka naam hi qurbani hai,awr jo janwar ko qurbani de to wahi qurbani samjhi jayegi,awr us shaks ko inshallah uska sawab bhi milega,
agar uski raqam sadqah kisi ghareeb ya madarsah ko karde to uski qurbani Nahi hogi,awr na hi uska sawab usko milega,,
Haan uska sadqah to hoga awr uska sawab to milega magar qurbani ke sawab se wo shaks mahroom rahega,,
(Al Hidayah,vol/5,pg/82),
plz,,read and share it.

You might also like