RAMAZAN KE 3 ASHARO KE SUBOOT KI KYU ZAROORAT ?

Sawal:Assalamu Alaikum Mufti Saheb,
Mufti saheb mere ek dost pooch rahe the ke,
Ramzan me 3 ashrah bataaye jaata hai,
iski koi sahi hadees hai kya???
Hai to bataiye.?
(Akber Ali),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Ramazan ke
■■ 3sr ASHARAH KI DALEEL ■■
3 Ashareh Sahi Bukhari se Sabit hai,wo is tarah ke :
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) Aakhiri Ashrah me Etekaf me baitha karte.
(Sahi Bukhari,Vol/1,H,1885),
●● 2sre ASHARAH KI DALEEL ●●
Nabi e Akram(sallallahualihiwasallam) Doosre Asharah me bhi Etekaaf me raha karte.
(Sahi Bukhari,Vol/1,H,No :1903),
Aur iska Chapter ka Naam Imam e Bukhari(rahmatullahialih) ne Doosre Asharah ke Naam se Rakha hai..
To Ab Bache Pahle ke 10 Din to usko to lazmi taour per
♢♢ 1 st ASHARAH ♢♢
hi to bolenge Na…
Allah sabko Sahi Samjhne ki Taufeeq de…
Ye Asharah kyu bolte ¿¿
Rahmat,Maghfirat,Jahannam se Najat ye Kaha se sabit hai ¿¿
Etc…….. …………..¿¿¿¿
Jaise ulte sawalaat ¿¿¿ aur Bahes karne se kuch Nahi Milta sivaye Waqt ko zaye karne ke ….
Guzarish hai,ke jo Adha Adha padh ke Aam logo ko pareshan karte phirte hai,
wo Kam se Kam saal me ibadat karne walo ko to Chod do bhai..
ibdat karne do usko..Badi mushkil se wo Masjid me aya hai,Allah ke saamne Maafi maangne,Taubah karne..
warna wo Bandah Deen ko Mushkil samajh kar Ibadat ko chod dega to Aap hi uske Gunahgaar honge…
Ramazan ke Asharah ki Bahes ko Chodo Rahmato ko Looto ..isi me Bhalayi hai..

You might also like