SAGAI KE BAAD,TALAQ ?!

Sawal :Assalamualikum,Mufti Saheb,
Agar kisi ki sagai huvi uske baad wo us ladki kio talaq ke alfaaz kaha phir baad me usi se hi nikah kiya to ab uska kiya hukm hai?
(Khair jaan quadri),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Islam me Talaq ka jo hukm lagta hai,wo Nikah ke baad hota hai,Nikah se pahle Nahi,
Lehaza sagai ke baad talaq ke alfaaz kahne se talaq hi nahi huvi to uska koi hukm hi nahi Nikah karle to Nikha hojata hai,
Ab rahi baat” Sagai Aadha Nikah ” hai,kahna bilkul Ghalat hai,aysa kuch bhi nahi hai,Nikah Aadha ..etc..Nahi hota hai,isi ke Bahane se aaj Nikha se pahle Rabte(calling) qayim karre phir baad me ye Naubaat aajati …
Allah sabko Sahi sonch ki taufeeq de..Ameen.

You might also like