SAJDAH KI AYAT MIKE SE SUNLE TO ?

Sawal :Assalamualikum,Mufti saheb,
Samat e Quran agar mike me kiya jaye aur uske aawaz bahar dukan daar ko sunaye de to kya use bhi sajda wajib hojata hai???
(Mohd Rafeeq),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah
Sajdah e Tilawat ko agar koi Kisi bhi maqam pe sune(listen) jaise Masjid me Namaz e taraveeh ho rahi ho aur sajdah ki ayat padhi jaye ya Samat e quran me ghar ke baher wale log sunle etc..to bhi sun ne walo per Sajdah e Tilawat wajib hota hai,chahe wo mike se sune ya baghir mike system ke sune.
Kyu ke sajdah e tilawat Padhne aur Sun ne dono se wajib hojata hai,Mahel(jagah) la ek hona zaroori Nahi hai.
(Fatawa Hindiyyah,Vol/1)
Plz..share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like