SHABE BARAT AUR MAAFI NAAMA ?

 

Sawal : Assalamu Alaikum.
Sawaal: Aaj kal log Shab-e-Barat aate hi maafi naama kehkar msgs forward karte hai kya ye sahe hai.?
(Hafiz mohd Akram),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah..
Deen e islam hamesha Apne Aapka Mohasabah aur Khudko Taleem wa tarbiyat se arastah karne ki talqeen karta hai,to jaha tak Shabe Barat ka waqt ho ya koi Aam Waqt ho apne gunaho se maafi aur logo se apne ghalatiyo ki sharmindagi zahir karna ek Mostahsan Amal hai,
Lekin ye Aamne saamne rah kar aur khaas kar apne walidain aur qareebi Rishtehdaaro se aaghaz karna hai,iske bajaye Social Media per aane wale MAAFI NAAMA msgs ko aage farward karne se kuch hasil hone wala Nahi hai,is se to bandah aur bhi sust hojata hai,aur uska Khushu bhi khatam hojata hai,lehaza Maafi Nama wale Copy paste msgs ko aage farward Na kare balke khud aage badh kar Khaliq aur Makhlooq se apne gunaho ki bakhshish maange.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..
www.anwaarulislam,com.

You might also like