SHADI KO BARBADI KAHNA..!!?

Sawal : Assalamualaikum ,,,jo shaks shadi ka mazak banate hue kahe ki Shadi Barbadi Hai to us par kya hukm lagenga javab ke muntazir..
(Rehan Raza),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah..
Shadi jo ke Arabi Nikah kahte hai,wo Ambiya e Kiram ki Sunnat hai,aur Nabi e Kareem sallallahualihiwasallam ne farmaya : النكاح من سنتي فمن رغب عن سنتي
فليس منى
(Sahi Muslim,Vol/1),
Nikah meri Sunnat hai,jo us se Mooh phere wo Mujh se Nahi,lehaza Shadi ki Mazaq se ho ya Jaan booj kar Barbadi kahna Sunnat ki Be Adabi wa Be Hurmati kahlati hai,to Us Shaks Ko Taubah karna zaroori hai,aur Ayindah ayse Jumlo se Bachna chahiye.
Note : Nawjavan Ladke aur Ladkiyo ko kam se kam Deen ke zaroori Baato,Farz,wajib aur Nikah ke Ahkamaat ko seekhna Zaroori hai,warna Ayse Baate karte rahenge…
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like