SHAWWAL KE ROZEH KAB RAKHE ?

Sawal :Assalamualikum,Mufti saheb,
Aaj hum shawwal ke Rozeh Sehri Nahi karsake to kiya hum kal se rozah rakh sakte hai ?
(Mohammed Ayub),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Shawwal ke Rozeh Nafil hote hai,in Rozo ki Hadees me Bohat Fazeelat ayi hai,ke ye shawwal ke 6 Rozeh 1 saal Rozo ke Barabar wale hote hai,to in Rozo ko Shawwal me kabhi bhi rakh sakte hain,lekin Paidarpeh yani jab se rakhna shuru kare to Ek saath 6 Rozeh rakhna ziyadah Behter hai,agar koi Gap dekar bhi 6 Rozeh rakhe to rakh sakte hain,
Haan, in Rozo ki fazilat hasil karne keliye Pahle Ramazan ke Rozeh rakhna hoga.
(Jamiut Tirmizi,Vol/1,H,No :764),
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like