SOORAJ GRAHAN ME PREGNENT LADY KIYA KARE ?

Sawal :Assalamualikum,Mufti Saheb,
Log kahte hai ke
Sooraj Grahan(Solar Eclise) ke Din Pregnent Lady Loha apne Haath me Na pakde,Chaqu,Churri(Knife) na use kare,awr Apne Haath me Hari Ghans pakde warna usko paida hone wala bacha Apahij (Handicap) hoga kiya ye Sahi hai ?
(Md Amjad),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Sooraj Grahan ke din Pregnent Lady 2 Rakat Salat ul Kusoof ki Namaz padhe awr kasrat se Allah ka Zikr awr Durood padhte rahe,awr hosake to Sadqah de…
Lohe ki cheeze ex :Chaqu,Daranti ka istemal Na karna Hari Ghans ka istemal etc..karne se Bacho ka Sahi paida hona awrna Apahij(Handicap) hona in Tamam cheezo ka islami Aqaayid se koi Ta alluq Nahi hai,ye Sab Baatil bate hai,inka Haqeeqat se koi Talluq Nahi hai,
Balke in baato se to eeman kamzor hota hai,jab Nabi e kareem(sallallahualihiwasallam) ke zamaneh me sooraj Grahan aya to aap ne incheezo ke bare Nahi kaha balke ibadat ke mutallaq hi farmaya.
(Sahi Bukhari,Vol/1,H,No :922),
Allah Hame in Batil Tawahhumaat se bachaye..Ameen.

You might also like