SURAJ GRAHAN(SOLAR ECLIPSE) AWR AMAL ?!

Sawal :Assalamualikum, Mufti Saheb,
Sooraj Grahan ke din kiya karna hai,log kahte hai,Gharo me hi rahna hai,
Bahar nikalne se Museebate etc..utarti hai ?
In tamam baato ka kiya hukm hai ?
Awr us din kiya karna hai ?
(Md Azmath),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Sooraj Grahan ke bare Hadees me aya hai ke :
Hazrat Ayisha Siddiqah(raziyallahuanha) se rivayat hai,kaha,
Radool e Akram(sallallahualihiwasallam) ke zamaneh me Sooraj Grahan huva to Aap ne Hame Namaz padhayi phir irshad farmaya :
SOORAJ GRAHAN AWR CHAND GRAHAN(SOLAR & LUNAR ECLIPSE)
Kis ke marne se Nahi hota hai,balke ye to Allah ki Qudrat ki Nashaniyo me se hai,lehaza us din
Takbeer kaho,
Namaz padho,
Dua karo,
Sadqah karo,
Ye kah kahkar aapne aage farmaya : Zinah karne wala Mard awr Awrat Allah se Dare,
Aye Mere logo ! Jo mai jaanta hoo,agar tum wo janoge to..Tum Rona ziyadah kardoge,awr Hansna kam kardoge.
(Sahi Muslim,Vol/1,H,No :2127),
To Dosto Ghar me raho ya Baher Museebat jo bhi jab aana hai,aakar hi rahegi,Lekin is din Namaz padhan hai 2 rakat Nafil (Salat ul Kusoof) ki niyyat se padhna chahiye,Dua kare,sadqah kare to insha Allah Noor e eeman milega.

You might also like