TARAVEEH ME QURAN DEKH KAR PADHNA

Sawal : Asalaamalikum tarweeh my quran samne rakkar dheekte howey padna .yeh kaisa Amal hai .fiqh haneefi k pass
(Akbar Saheb),
Jawab:Walikumassalam wa rahmatullah.
Namaz me Chahe Farz ho ya Sunnat Taraveeh me Quran dekh kar padhna Hanafi mazhab me Ijazat Nahi hai,kyu ke Quran e kareem me aya hai,ke Allah ne farmaya :
فاقرءوا ما تيسر من القرآن 
Jo Tumhe Quran yaad ho wahi Namaz me padho.
(Quran,Vol/30,Surah Muzammil,Ayat No :20),
Lehaza Malum huva ke jo yaad ho wo Namaz me Baghair dekh kar padhe aur jo yaad Na ho usko chod de Yani Dekh kar Na padhe kyu ke Deen Aasan hai.
Sahi Bukhari Shareef me bhi Aya hai,ke Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ne farmaya:Mai jaise Namaz padhta hoon usi tarah tum bhi Namaz padho,
(Sahi Bukhari,Vol/1),
To Aap Sallallahualihiwasallam ne Apni Hayat e Tayyibah me Kabhi bhi Namaz me Dekh kar Quran Nahi padhe hai,to hame bhi Namaz me Quran dekh kar Nahi padhna hai.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site.
www.anwaarulislam,com.

You might also like