UMRAH KELIYE AQEEQAH AUR…?

Sawal :
السلام عليكم ورحمة الله وبركاته
1)umrah ke liye aqiqa hona zaroori hai
2) ahram india se band kar jana
3)agar kisi ka ahram hai to pahen sakte hai
(Ek.islami bhai)
Jawab : Walikumassalam wa rahmatullah,,
Umrah keliye Aqeeqah Zaroori aur Shart Nahi hai,kyu ke Aqeeqah aur Umrah dono ka Hukm Alag alag hai,
2)Agar India se Direct Makkah ja rahe ho to India me hi Ahraam bandhna hoga kyu ke india se jaane walo ka Meeqat jiska Naam”YALAM LAM” hai,wo raasteh me hi hota hai,agar Meeqat se baghair Ahram ke guzar jaye to Dum(ek janwar ki qurbani) lazim ayega,aur bandah Plane ke safar me hota hai,lehaza Apne mulk se hi Ahram bandh le to Behter hai,
3) Umrah keliye Kisi Doosre ka Ahram bhi istemal karsakte hai,agar Allah dawlat se nawaza ho to Naya Ahram khareed le to ziyadah behter hai,kyu je Qiyamat me wo Ahram bhi Gawahi dega..Insha Allah
(Al Hidayah,Vol/2,Hashiya e Sahi,Vol/1)

Plz..share it to All,For more Visit web site..
anwaarulislam,com.

You might also like