WAZOO KE DAURAAN KUCH KAAM ?

Sawal : Assalamualikum,Mufti saheb,

ek shaks wazoo kar raha tha ,chahrah(face) ko dhona hogaya,ke achanak koi kaam agaya wo usi dauran jakar wo kaam karliye ,phir aakar wo dobarah sharu se wazoo kare,ya chahrah ke baad se wazoo ko mokammal kare ?
(mohammadi begum),
Jawab : Walikumassalam wa rahmatullah,,
Hanafi mazhab ke etebar se ab usko shuru se karne ki zaroorat nahi hai,yani wo kaam ke baad baghir ki naqiz e wazoo ke wo chahare ke baad wale aaza se hi wazoo ko mokammal kare,
lekin shafayi mazhab me usko shuru se karna hoga,
(AL Hidayah,vol/1,pg/18),
plz,read and share it.

You might also like