1 DIN ETEKAAF KA HUKM ?

Sawal :Assalamualikum,Mufti Saheb,
1 Din ka etekaaf karsakte hai ? Ya Nahi ?
Ya sirf 10 din ka hi rahna padhta hai ?
(Mohammed Tafazzul ),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Ramazan ke Aakhiri Asharah me 10 din ka etekaaf karna “SUNNAT” hai,
(Sahi Bukhari,Vol/1,Pg/90),
Agar 10 de se kam yani 3 Din ya 1 Din bhi etekaaf kabhi bhi ramazan ya ramazan ke alawah me kiye to wo” NAFIL ETEKAAF” kahlata hai.ye etekaaf me bait sakte hai.
Yaad rahe ke Ek din ke etekaaf ki bhi badi fazeelat hai.
(Sharh ul Wiqayah,Vol/1),

You might also like