MOBILE ME QURAN KI TILAWAT AUR WAZOO KA HUKM ?

Sawal :Assalamualaikum mufti sahab
Sawal-aaj kal Jo mobile phone mein quraan shareef aane lge hain toh kya isme tilawat krne k liye wuzu ki zarurat h?
Baraae karam jawab inayat frmaaein….
(Siraj Ashrafi),
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah,
Mobile ke Quran ke 2 Ahem masleh hai,

1)Mobile me se Quran ki Tilawa karna ke bare me ye hai,ke :Mobile me se Quran ki Tilawat Baghair wazoo ke Padhna Sahi Nahi hai,us se Wazoo se Tilawat karna hai.
Kyu ke Quran Kaghaz pe rahe ya Sheeshe(Glass) per ya Patther per wo Quran hi hota hai,to usko Adab bhi her Haal me karna zaroori hai,
(Al Quran,Vol/27,Surah:Waqiyah),

2) Jis Mobile me(Memory card etc..) Quran ho us Mobile ya Card ko Baghir wazoo se Choone (touch) ya pakadne ke bare me ye hai,ke :Usko Baghir wazoo se Choo bhi sakte hai,aur Pakad bhi sakte hai,kyu ke wo Quran Phone ke ander hai,ye ayse hi hai,jaise jo Quran Ghilaf(Quran external cover) me ho usko Baghir wazoo ke bhi Pakad sakte hai.
(AL Ashbah,Vol/1).
To ye Mobile ki screen aur memory cark ka cover bhi Ghilaf ke hukm me hai,to isko bhi Baghir wazoo ke pakad sakte hai,
Wazeh rahe ke…Quran ki Tilawat ek awr kaam hai,aur pakadna wa choona ye aur kaam hai,Dono ek Nahi hai,to dono ka Hukm Bhi Alag alag hoga.
Note :Baaz ulama ka isme ekhtelaf hai,aur Baaz ka ittefaq hai.

You might also like