2 YA 3 MIN PAHLE IFTAR KARLE TO ..?

Sawal : Assalamualikum,Mufti sab,
Agar iftar ke waqt se 3mint pahle agar koi roza kholle galat se to uska roza hoga ya nahi?
Rahbari farmaiye….. ?
(Md shakeeb)
Jawab :Walikumassalam wa rahmatullah
Agar koi Ghalati se 2 ya 3 Minute pahle Rozah kholde yani iftar karle to aysi Soorat me uska Rozah hojayega,Kyu ke Sooraj ke Ghuroob hone ke waqt me 2 ya 3min ka farq me koi Haraj Nahi hai,
(Hashiya e Sahi Bukhari,Vol/1)
Haan,Ye Hukm Kabhi ek do baar ghalati ho to hai,agar Iski Adat bana le to phir doosra hukm lagega.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like